Sunday, October 9, 2011

samay



samay k mahtva ko samjhna bahut jaroori hai

iske bina her safalta adhoori hai


samay hi hame ladna sikhaata hai


her sangharsh ka anubhav sikhaata hai


hamaari manjil abhi kaafi door hai 


par hume swayam per gurur hai


ab samay rahte hume jaag jaana chahiye

sapno ko sakaar karne ka her sambhav prayash karna chahiye


mat karo jeevan se khelwaad samay bada anmol hai

abhi samay hai kar lo mehnat paristhitiyan bhi dawandol hain

abhi to samay apaar hai bhaiya aisi tum rakhte ho soch 

jab samay haanth se nikal jaayega fir karoge sirf afsos

nhi koi deta hai saath sabki apni majboori hai

jeevan ki is bhaag daud me sabki khwahishen adhoori hain

apni khwahishon ko tum kar lo poori jaldi se jaldi

is sundar se jeevan ko kar lo healthy aur wealthy....................................ckd