Tuesday, March 12, 2013

jai shree ram

ram naam ki keerti ka kya karoon bakhaan

ram naam me nihit hai samast saansarik gyaan

sarvatra hi vyaapt hai ram naam gungaan 

ram naam sat-chitt-aanand brahm roop mahaan

jeevaneeya moh maaya bandhan ka sabse saphal nidaan

ram naam sumiran maatra se ho jaaye kalyaan..

nit samyak akaagra karen raam naam prabhu dhyaan...............................ckd

Tuesday, March 5, 2013

pustak

inhi pustako me samahit jeevan ka ek abhinn hai saar

gyaan maan ki saadhan hai ye adabhud ek gahan sansaar

jo bhi inka mahatva samajhta nit karta inka upyog

jeevan k sangharsh path per vah chalta nirvighna samyog

inki gaatha amit hai adabhud mahaan va aprampaar

bina pustkeeya gyaan vyavhaar jeevan ho jaata kharpatvaar

atev hum vidyaarthiyon ko pustakon ka mahatva samajhana chaahiye

nit pratidin samyak roopen prabhaavshaali adhyayan karna chaahiye......................................ckd