samay k mahtva ko samjhna bahut jaroori hai
iske bina her safalta adhoori hai
samay hi hame ladna sikhaata hai
her sangharsh ka anubhav sikhaata hai
hamaari manjil abhi kaafi door hai
par hume swayam per gurur hai
ab samay rahte hume jaag jaana chahiye
sapno ko sakaar karne ka her sambhav prayash karna chahiye
mat karo jeevan se khelwaad samay bada anmol hai
abhi samay hai kar lo mehnat paristhitiyan bhi dawandol hain
abhi to samay apaar hai bhaiya aisi tum rakhte ho soch
jab samay haanth se nikal jaayega fir karoge sirf afsos
nhi koi deta hai saath sabki apni majboori hai
jeevan ki is bhaag daud me sabki khwahishen adhoori hain
apni khwahishon ko tum kar lo poori jaldi se jaldi
is sundar se jeevan ko kar lo healthy aur wealthy....................................ckd

