Tuesday, August 30, 2011

SARASWATI MAA



saraswati maa hans per sawaar hain

haatho me veena aur gyaan ka bhandaar hain

door karti agyaan ka andhakaar hain


gyan roopi prakash ka karti prasaar h

suron ki devi kahlaati hain

geet sangeet sikhlaaati hain

inki mahima aprampaar h

inhe mera shat-shat namaskaar h...............

Sunday, August 28, 2011



ek aam insaan hoo mai
bhavnaaao k jaal me badha ek vishwas hoo mai
kabhi ro to kabhi has padta hoo mai
najaane kin haalaato se gujar raha hoo mai
kya uddesya ha kya manjil h nahi soch paaya hoo mai
phir bhi is saansarik jeevan me basar kar raha hoo mai
swarachit... rachna     chandrakant dwivedi

Friday, August 26, 2011

anna ki aandhi


anna nahi ye aandhi hain....aaj k yug k gadhi hain
bhrastachaar virodhi hain....sakal moort sanyasi hain
param raastra kalyani hain...jan-jan k viswasi hain
vedi aur kejri inke.. mukhya aandolankaarii hain
bhrastachaari-atyachaari k ..sabse bade sikaari hain
ab bharat ki janta sukh -chain se jeevan bitayegi
kyoki anna ki aandhi
ab bhrastachaar mitayegi........

mai hoo anna...mai hoo anna 
jan-jan ki hoonkaar h
bhrastachaar viruddh aandolan ka yahi vistaar h
mera hum bhartiyo se bus ek namra nivedan h
karo

 samarthan anna ka tabhi saphal ye jeevan h.......dhanyavaad